aaj office se aadhe din ki chhuti li thhi..
woh kisi rally mein bhaag lene ke liye jaa raha thha...
Bhrastachar ke khilaaf ...suna thha ki bade bade log wahaan roz aatein hain.. aur bhaashan detein hain..
Bhookh hadtaal par bhi baithaa hai koi.... TV mein dekha thha usne... ab usse khud wahaan jaa kar dekhnaa thha.. ek ajeeb saa mahol thha desh mein.. maano aazaadi ki duusri jang ho...
Dada ji ki puraani topi almaari si nikaali.. aur ... ek chota tiranga lekar ghar se nikal gayaa....
wahaan pahuncha to dekha ki bahut bheed thhi ... motorcycle khade karne tak ki jagah kahin dikh nahin rahi thhi... usne pure maidaan ke do chakkar lagaye.. tab jaa kar ek gate ke paas kuch motorcyclein rakhi hui dekhi.. usne turrant motorcycle ka handle ghumaaya aur motorcycle wahaan laga di...
Gaadi stand par lagayi hi thhi ki.. ek hawaldaar seeteee bajaata hua aaya... "arrey hataao gaadi.. yeh "no parking" hai.. hataao..!! "..
"arrey saab jaane do naa.. kitni gaadiyaan khadi hain yahaan pe"...
hawaldaar bolaa "nahin aap aise nahin laga sakte motorcycle yahaan pe.."
"Arrey saab jaane do naa.. mein aadhe ghante mein wapas aa jaunga..."
"Arrey samajhate nahin kya.. aise nahin park kar sakte"
Usne turant ... jeb mein haath daala... pachaas rupaye ka ek note nikaala...
hawaldaar ke haat mein thamaaya.. aur jhandaa lekar... ek do teen chaar , khatam karenge bhrastaachar chillaane waalon ki bheed mein shaamil ho gayaa....
haan aur usne topi bhi pehni thhi....
Hawaldaar khush thha... woh pachaas rupay ka note jeb mein rakh hi raha thhaa...
ki ek aur motor cycle aayi....
woh phir se seetee bajaane lagaa....
7 comments:
very niCe......
Great ! you must continue writing,i have read carefully and can say it deserves appreciation!
Kuchh Le De ke Bhrashtachaar Khatm karo yaar..??
:p
Bahut badhiya sirji..
dil ko touch karnewali baat he sirji.. very nice.
kuch chiz ki hume jese aadat si ho chuki hai... aur problem wo hai ki ab usme hume kuch galat nahi dikhta..
Good One. Kuch cheeje jo hm hamesha se karte aye hai, galat nahi lagti. lekin corruption k khilaf kahre jarur ho jate hai jab bhi kisi neta ki baat hoti hai.
For example: train me TT ko 100 rs pakra k seat lena, traffic police ko 50 rs pakra k fine bachana. Y bhi corruption hi hai jo aam janta karti hai but ab y rule ban gaya hai to sab sahi hai.
Post a Comment