Pages

Saturday, October 30, 2010

Aajkal sabhi ko cricket ka bhukhar hai

To aapni team do bhi ad ka bhut sawar hai

Har dusre ad mein koi aapna bat ghumata hua nazar aata hai

Cricket to aata nahin, ad karne chala jaata hai

Sachin ke haatha mein to hamesha pepsi ki bottle rehti hai

Jiske liye saari team ke muh me laar behti hai

Mujhe to lagta hai, mujhe to lagta hai

Ki sachin ka baccha jab iss duniya mein aayega,

Pehle to aadhi bottle pepsi pi jaayega

Aur pinee ke baad machayega shor,

Mummy mummy yeh dil maange mor

Par bhai theek hai ke yeh dil maange mor,

Par yeh cricket hai, aur yeh cricet maange score,

Kaash kuud dar bottle pakadne ki kala ,

Cricket mein kaam aajati,

To India ab tak, to teen world cup jeet jaati

Ganguly ka balla aajkal bajta ho ya na bajta ho

Par uske ghar mein tata indicom jaruur bajta hai

Aur jab bhi who thak jaaye aur ho jaaye niraash

Haazir ho jaata hai zhandu ka kesri chavan prash

Dravid to aajkar cricket se bahut duur hai

Aur jaamy ke naam se mashahur hain

Yuvraj paanch gend khel ke out ho jaata hai,

Par fashion ke dunia mein inko bahut jaana jaata hai

Irfan pathan ke dimag mein bowling ke aalaawa sabkuch jaa raha hai

Aajkal who hero cycle chala raha hai,

Aur mujhe lagta hai , thodi hi dino mein amul waale aayenge

Aur dhoni to ad ke liye lejaayenge,

Aap soch rahe honge ki har koi kisi na kisi ad mein laga hua hai,

Phir harbhajan singh kyon bacha hua hai,

Harbhajan bhi kisi din aapni kismet aazmaayenge

Shayad kisi shampoo ke ad mein uske lambe baal kaam aajaayenge

Shaayad ek din aisa bhi aayega

Tendulkar chaap bidi piyega koi,

Koi jadeja sabun se nahayega

Koi azhar chai pi kar aapni susti bhagayega

To koi jooton par kambli polish lagayega,

Samajh mein nahi aata yaar , yeh cricket hai ya bazaar

Khiladiyon ke liye zamin se pepsi to nikal aati hai,

Par ek coach ke liye tarikh pe tarikh nikal jaati hai

Chahe labelon se saara sharer dhak jaaye

Par kahin criket ki aatma na dhak jaaye

Darta hun kahin yeh kisi cold drink ke bottle mein na doob jaaye

Ya kisi fridge mein na band ho jaaye

Ya kahin kisi car ke niche na kuchala jaaye

Ab bhi, Haan ab bhi

Over ki aakhri ball se pehle tv mein ad shuru ho jaati hai

Aur shayad hume cricket se aur dur lejaati hai

Aur shayad hume cricket se aur dur le jaati hai…

Mithelesh Baria.