Pages

Monday, November 14, 2011

Aakhri Bus

Aakhri Bus

Woh roz.. usi paan ke dukaan par aataa thha... shaam ko der raat cigarette peene...
Aaj bhi usi dukaan ke paas bane chabutare par baith kar woh... muh se dhuaan udaate hue.. guzre hue din ke baare mein soch raha thha... aaj tankhwa aai thhi.. pehli tarikh thhi.. shayad kharchon ke baarein mein soch raha thha..

Ek ladka, 20-22 saal ke lagbhag ka ..paas aakar 25 rs maangne laga.. hairan ho kar usne puchaa.. 25 rs ..?? abe itne paise koi maangta hai kya kabhi.. tu to theek thaak ghar ka lagta hai.. itni raat mein bheek maang raha hai....

saab, mein iss busstop pe bahut der se khada hun.. aur kisi ne ye bola hai ki.. ab bus nahin aaeygi. aakhri bus thhi saab... woh riksha walaa 50 rs maang raha hai... mere paas sirf 25 hi hain... Chaal be, tere jaise roz aatein hain... saale naya tarika hai bheekh maangne kaa.. woh cigarette ka dhuaan muh se baahar nikaalta hua gusse se bola...

Saab, mein kal isi jagah aapko lauta dunga... mein jhooth nahin bol raha hun.. raat hai isliye rikshaw waala advance maang raha hai.. nahin to mein usse ghar jaa kar de deta... please saab.. thodi help kijiye naa..
chal be.. bhaag.. kuch nahin milegaa.. usne cig ko pair ke neeche dabaate hue.. zor se kaha, aur sadak paar karta hua apne ghar ki taraf.. jaane laga... tabhi kuch zor se aawaj hui....

aakh khuli to apne to aspataal mein pada hua payaa usne.... chot jyada to nahin lagi thhi.. takkar lag gayi thhi kisi gaadi se.. thodi si kharonchein thhi haathon mein aur maathe pe thodi soojan thhi... shayaad takkar ki wajah se behosh ho gaya thha woh.... tabhi achanak khayal aayaa.. hath mein ghadi dekhi .. gale mein sone ki chain dekhi.. sab thha.. par.. purse??? purse gayab thha... usne apni sabhi jebon mein dekha.... par purse nahin thha.. pure mahine ki tankhwa thhi usme..

Saala woh ladka.. le gaya lagtaa hai... pure.. 8000 rupay thhe usme.. maje ho gaye saale ke...

Tabhi nurse daudti hui andar aayi.. bola aap late jaaiye... aapko abhi aur aaram ki zarurat hai.. kuch reports aani baaki hai..

Nurse.. Mera purse .. mera purse gayab hai.. kaafi paise pade thhe usme.. Nurse haste hue boli.. arrey haan... woh mere paas hai... ek ladka kal tumhe yahan le kar aaya thha.... usne yeh mujhe diya thha sambhalne ke liye... nurse ne purse usse haathon mein dete hue kaha...

Usne jhat se woh purse liyaa aur paise gin ne laga.... pure paise gin ne ke baad... woh khaamosh sa ho gaya... aankhein bheeg aayi uski....
.
.
.
.
.

purse mein 25 rs ... kum thhe....


.
.
.
.
.
.
.
.
.


Woh itna hi jaanta thha ki purse mein sirf 25 rs kum thhe.. par woh yeh nahin .. jaantaa thha ki.. jis bus se pichli raat takkar hui thhi... woh uss raat ki aakhri bus thi...

2 comments:

Dr Alok Ranjan said...

बहुत खूबसूरत /इसे वृतचित्र शैली में लिखकर अद्भुत पुट दिया है आपने/कथा शुरू में जानी पहचानी लगती है ,उसका अंत रहय्स के रूप में करना ,शैली की विशेषता है /

Dr Alok Ranjan said...

रहस्य / वर्तनी शुद्धि /