Pages

Wednesday, January 12, 2011

Kis Aur Le Jaa Rahi hai...


Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....
Manzil nahin hai phir bhi, raahein dikha rahi hai....
Saath nahin hai Koi , par saath mein hai chalna...
Badalte hain riste yaahaan par kudh ko nahin badalnaa...
Aaankhon mein nahin hai neendein , phir bhi sapne dikhaa rahi hai..
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....


Kabhi Pankh laga kar udun mein, kabhi zamee par gir jaaun...
Kabhi aaine mein dekhun , kudh to nazar naa aaun...
Khusi mein kabhi rulaati.. kabhi gam mein hasaaa rahi hai...
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....


Kahin roothtaa hai koi, kabhi choothtaa hai koi...
kabhi milti hai jannatein , kabhi loot taa hai koi...
sanaato se daraati.... kabhi nagmein sunaa rahi hai...
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....


kabhi jaanu nahin kisi ko , kabhi bheed mein kho jaaun...
kabhi aapno pe jaan dun mein , kabhi gairon ka ho jaaun..
dooriyon to kabhi mitaati, kabhi faasle badhaa rahi hai...
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....


Thodi kal ki hain yaadein, kuch kal se ummidein...
bhoole kabhi dil kudh ko, kabhi yaad kare din beetey...
Waadon ko kabhi todti, kabhi kasmein nibhaa rahi hai...
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....


Orron ko hasaaoon kabhi, kabhi aasun apne chupaaun...
Dil se kuch kahoon kabhi, kabhi hothon se batlaaun....
Insaan na ban ne de kabhi, kabhi khudaa banaa rahi hai....
Na jaane yeh zindagi mujhse kis aur lejaa rahi hai....


Kitne kisse kitni yaadein , chhod chalaa hun mein yahaan..
jaa raha hun mein wahaan, jahaan jaate kadamon ke nishaan..
har kadam pe ek aahat... har aahat par ek kadam badhaa rahi hai...
Na jaane yeh zindagi mujhe kis aur lejaa rahi hai....



2 comments:

Anonymous said...

very nice poem....touched my heart

rrb exam said...

visit for Railway Recruitment Cell for railway jobs for ex-army in indian railway.